Dua-e-Qunoot Kya Hai?
Dua-e-Qunoot sunnate muakkadah hai, isliye isey parhna bohot ahem hai. Dua-e-Qunoot isha ki namaz ke baad jo witr namaz parhi jati hai, usmein dua-e-Qunoot parhna hota hai. Rasulullah (S.A.W ) witr namaz parhte aur dua-e-Qunoot ruku se pehle parhte.
Dua-e-Qunoot Ka Tareeqa Kya Hai?
Dua-e-Qunoot witr ki namaz mein parhi jati hai. 3 witr ki namaz mein 2 rakat jaise aam namaz parhi jati hai, usi tarah parhi jayegi. Fir jab tisri rakat mein khade hon, toh jaise hum Surah Fatiha parhte hain, waisa hi parhenge aur fir uske sath ek aur Surah padh kar dua-e-Qunoot parhke ruku mein jayenge aur fir jo jo namaz se pehle parhte hain, wo parhkar salam pherenge.
Dua-e-Qunoot witr mein hath uthane ke baare mein koi marfoo riwayat nahi hai ki haath utha ke padhi jaye! Isliye haath utha kar ya haath uthaaye bagair dono tareeqon se Dua-e-Qunoot witr parhna durust hai.
Dua-e-Qunoot Ka Hindi Tarjuma
Ye dua Hanafi se riwayat hai:
Allahumma inna nasta’īnuka wa nastaghfiruka wa nu’minu bika wa natawakkalu ‘alayka wa nuthni ‘alaykal-khayra kullahu nashkuruka wa la nakfuruka wa nakhla’u wa natruku man yafjuruka. Allahumma iyyaka na’budu wa laka nusalli wa nasjudu wa ilayka nas’a wa nahfidu wa narju rahmataka wa nakhsha ‘adhabaka inna ‘adhabaka bil-kuffāri mulhiq.
Tarjuma:
Ae Allah, hum tujhe madad chahte hain. Aur tujh se maafi mangte hain, tujh par imaan rakhte hain aur tujh par bharosa karte hain. Aur teri bohot achi tareef karte hain aur tera shukr karte hain aur teri na-shukri nahi karte aur alag karte hain aur chhodte hain is shakhs ko jo teri nafarmaani kare.
Ye dua Shafi se riwayat hai:
Allahummahdini fiman hadait, wa ‘āfini fiman ‘āfait, watawallani fiman tawallait, wabārīk lī fīmā a’tait, waqīni sharra mā qadhāit, fa’innaka taqdī wa lā yuqdā ‘alayk, fa’innahu lā yadhillu man wālait, tabārakta rabbānā wa ta’ālaīt.
Tarjuma:
Ae Allah, mujhe hidayat dekar un mein shaamil kar de jinhein tune hidayat di, aur mujhe aafiyat ata kar ke unmein shaamil kar de jinhein tune aafiyat ata ki, aur mujhe apna dost bana le, aur apne doston mein mujhe shamil kar le, aur jo kuch tune diya hai usmein mujhe barkat de aur mujhe us burai se bacha jiske hone ka tune faisla kiya hai, beshak tu hi hukm deta hai aur koi tujh par hukm nahi kar sakta aur beshak woh kabhi bhi zaleel nahi hota jisse tune dosti ki ho. Tu mubarak hai, ae hamare Rab, aur tu buland hai.
Dua-e-Qunoot Ki Fazilat: Islam Mein Ahmiyat
- Allah Ta’ala se hidayat talab karte hain.
- Allah Ta’ala se dua karte hain ki hamein apna dost bana le aur apne doston mein shaamil kar le.
- Allah Ta’ala se barkat talab karte hain.
Dua-e-Qunoot Ki Sunnat Aur Nafal Dua-e-Qunoot sunnate muakkadah hai, isliye ise witr ki namaz mein zaroor parhna chahiye. Aur Allah Ta’ala se dua karna chahiye.
Dua-e-Qunoot Ki Khabar: Kahan Aur Kaise Padhni Chahiye? Dua-e-Qunoot Nabi ﷺ ne farmaya ke witr ki namaz mein ise parhna chahiye. 3 rakat witr mein aap hamesha dua-e-Qunoot parhte aur ruku se pehle parhte the, fir salam pherte the. To chunanche hame bhi aise hi karni chahiye aur aapki sunnat ko amal mein lana chahiye.
Dua-e-Qunoot Ki Practice Mein Aam Galtiyan
- Ruku mein bethkar nahi parhna chahiye aur nahi 3 witr mein pehli ya dusri rakat mein parhna chahiye. Balki tisri rakat mein padhein aur fir ruku mein jayen aur salam pherain, jaise hamare Nabi ﷺ ki sunnat hai.
Dua-e-Qunoot ek ahem dua hai jo witr ki namaz mein parhna sunnate muakkadah hai. Iska tilawat karna, Allah se madad aur hidayat ki dua karne ka zariya hai. Islamic Jankari ke zariye, humein Dua-e-Qunoot ki ahmiyat aur tareeqa samajhna zaroori hai. Har Musalman ko is dua ko apni ibadat mein shamil karna chahiye, taake wo Allah ki rehmat aur barkat se nasib ho. Is dua ki practice se hum apni namazon ko behtareen bana sakte hain aur Allah ki qabuliyat ka zariya ban sakte hain.3